Jab teri dhun main jiya kartay thay
Hum bhi chup chap phira karat thay
Ankhoo main piyas howa karti thi
Dil main toofan utha kartay thay
Loog atay thay gazal sunnay ko
Hum teri baat kiya kartay thay
Saach samajhtay thay teray wadoon ko
Raat din ghar main raha kartay thay
Kisi weeranay main tujh say mil kar
Dil main kiya phool khila kartay thay
Ghar ki deewar sajanay ki khatir
Hum tera naam likha kartay thay
Raat bhar rootay thay teri khatir
Aur tujhay khat likha kartay thay
Kal tujhay deekh kar yaad aya
Hum bhi mohabbat kiya kartay thay
(†Î±Î·hα...!!)