tu ke shaam-e-firaaq hai dil-e-namurad sambhal kay ro

tu ke sham´e shaam-e-firaaq hai dil-e-namurad sambhal kay ro
yeh kisi ki bazm-e-nishaat hai yahaaN qatra qatra pighal kay ro

koi aashna ho ke Ghair ho na kisi se haal bayaan kar
yeh kaThoor logoN ka sheher hai kahiN door paar nikal kay ro

kisay kya pari sar-e-anjuman ke suny woh teri kahaniyaN
jahaN koi tujh se bichhaR gaya usi rahguzaar pe chal ke ro

yahaN aur bhi hain garifta dil kabhi apnay jaisoN se ja kay mil
tere dukh se kam nahiN jin kay dukh kabhi un ki aag meiN jal kay ro

tere doston ko khabar hai sab teri be-kali ka jo hai sabab
tu bhale se us ka na zikr kar tu hazaar naam badal kay ro

Gham-e-hijr laakh karah sahi per "Faraz" kuchh to khayal rakh
meri jaan yeh mehfil-e-sher hai tu na saath saath ghazal kay ro

"Aye Ishq-e-junoon pesha"

(†Î±Î·hα...!!)

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form