kahaniyaN na suno aas paas logoN ki

  









kahaniyaN na suno aas paas logoN ki
ke mera sheher hai basti udaas logoN ki

na koi samt na manzil so qaafila kaisa
rawaaN hai bheeR faqat be-qayas logoN ki

kisi se pooch hi lete wafa kay baab meiN hum
kami nahiN thi zamana-shanaas logoN ki

mahabbatoN ka safar khatam to nahiN hota
baja ke dosti aayi na raas logoN ki

humeN bhi apny kaii dost yaad aaty haiN
kabhi jo baat chale na-sipaas logoN ki

karo na apni bala-noshioN kay yuN charchy
ke is se aur bhi baRhti hai pyaas logoN ki

maiN aany waly zamanoN se Darr raha huN "Faraz"
ke maiN ne dekhi haiN aankheN udaas logoN ki


az "Aye Ishq-e-junooN pesha"
(†Î±Î·hα...!!)


Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form