Ab Kay Hum Bichray tau shayad kabhi Khwaboon mein Milain











Ab Kay Hum Bichray tau shayad kabhi Khwaboon mein Milain
Jistarah Sukhay huay Phool Kitaboon Mein Milain

Dhuund Ujray huay logon me Wafa kay Mauti
Yeh Khazanay Tujhay Mumkin hai Kharabon mein Milain

Tu Khudaa hai na mera ishq farishton jaisa
Donon insaa(n) hain to kyun itanay hijaabon main milain

Gam-e-duniyaa bhi Gam-e-yaar main shaamil kar lo
Nashaa barrhta hai sharabi jo sharaabon main milain

Aaj hum daar pe khenche gaye jin baaton par
Kya ajab kal woh zamaane ko nisaabon main milain

Ab na woh mein huun na tu hai na woh maazi hai Faraz,
Jaise do shaKhs tamanna kay saraabon main milain
(†Î±Î·hα...!!)

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form