Yah jo palkoon pay rim-jhim sitaroon ka maila sa hai









Yah jo palkoon pay rim-jhim sitaroon ka maila sa hai,
Yah jo tere bina koi itna akaila sa hai,
Zindagi teri yadoon say mehka howa shaher hai,
Sab mohabbat ka ik paher hai..!
Sab mohabbat ka ik paher hai..!

Sahiloon pay gharoonday banaiy thay hum nay
Tumhain yad hai..??
Rang barish main kaisay oraiy thay hum nay
Tumhain yad hai..??
Janey kis ke liye ghar sajatey thay hum
Tumhain yad hai..??

Koi khushbo ka jhonka idher aa nikalta nahen
Gum hai sahra main khwaboon ka rasta kahen
Her khushi aatay jaatay waqat ki lehar hai
Sab mohabbat ka ik paher hai..!
Sab mohabbat ka ik paher hai..!

Zindagi dhoop chaoon ka ik khail hai
Bheerdh chat-ty nahen..
Aur isi khail main din guzarta nahen
Raat guzarty nahen..
Payar kartay howay aadmi ki kabhi umer ghat-ti nahen

Dil ki dahleez pay aks roshan tere naam say
Rat-jagay aienoon main khilay hain kahen shaam say
Ik darya hai chaaron taraf..
Darmiyan nehar hai..
Sab mohabbat ka ik paher hai..!
Sab mohabbat ka ik paher hai..!
(†Î±Î·hα...!!)

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form