Harf-e-ranjish pe kohi baat bhi ho skti hy,

Harf-e-ranjish pe kohi baat bhi ho skti hy,
Ain mumkin hy mulaqat bhi ho skti hy.

Zindgi phool hy khshbu hy mgar yaad rahy,
Zindagi grdash.e.halat bhi ho skti hy.

Hum nai ye soch k rakha tha qadam gulshan main,
Lala-o-gul main teri zaat bhi ho skti hy.

Chaal chalty huway shtranj ki baazi k usool,
Bhool jaho gay to phir maat bhi ho skti hy.

Aik to chhat k bina ghar hy hamra "Nasir",
Us pe ye khauf k barsat bhi ho sakti hy.

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form