Hawa thami thi zaroor lekin

Hawa thami thi zaroor lekin,
Wo shaam jesy sisak rahi thi

K zard patton ko aandhiyon ny
ajeeb Qisa suna dia tha

K jis ko sun kar tamam pattay

Sisak rahy thy
Bilak rahy thy!

Janay kis saanihey k ghum me
Shajar jaron se ukhar chukay thy

Bohat talasha tha hum ne tumko,
Hr aik rasta
Hr aik waadi,
Hr aik parbat,
Hr aik ghaati,

Kahen se teri khabar na aai,
To ye keh k hum ne dil ko tala,

Hawa thamy gi to dekh lain gy
Hum us k raston ko dhoond lain gy

Magar hamari ye khush khyali
Jo hum ko barbaad kr gaee thi

Hawa thami thi zaroor lekin
Bari hi mud'dat guzar chuki thi!

Hamary baalon k jangalon mei
Sufaid chaandi utar chuki thi!

Falak pe taaray nhi rahy thy
Gulaab pyary nhi rhy thy

Wo jin se basti thi dil ki basti
Wo log saary nhi rahy thy

Ye almiya sb se baalatar tha
K hum tumhary nhi rahy thy

K tum hamary nhi rahy thy

Hawa thami thi zaroor lekin
Bari hi mud'dat guzar chuki thi.

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form