Hai dua yaad, magar harf-e-dua yaad nahe
mere naghmaat ko andaz-e-nawa yaad nahe
hum ne jin k lie rahon main bichaya tha laho
hum se kehte hain wohe ahd-e-wafa yaad nahe
zindagi jabar-e-musalsil ki tarah kati hai
jane kis jurm ki pai hai saza yaad nahe
main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di
main wo sahil hun jise koi sada yaad nahe
kese bhar ayen sar-e-sham kise ki ankhen
kese thari churagon ki ziya yaad nahe
sirf dundhlate sitare ki chamak dekhi hai
kab hoa kon hoa muj se juda yaad nahe
ao ik sajda kren alam-e-madhoshi main
log kehte hain k Saghar ko khuda yaad nahe.

Tags
SAGHAR Poetry