taron se mera jam bharo ! Main nashe main hon
aye saknan-e-khuld suno ! Main nashe main hon
kuch phool khil rehe hain sar-e-shakh-mey'kada
tum he zara ye phool chuno ! Main nashe main hon
thehro ! Abi to suba ka tara hai zu'fishan
dekho muje fireb na do ! Main nashe main hon
nasha to maut hai gham-e-zindagi ki dhoop main
bikhra k zulf saath chalo ! Main nashe main hon
mela yun he rehe ye sar-e-rah'guzaar-e-zest
ab jam samne he rakho ! Main nashe main hon
payel jhank rehe hai nigar-e-khiyal ki
kuch ahtmam-e-raqs kro ! Main nashe main hon
main dagmaga raha hon biyban-e-hosh main
mere abhi kareeb reho ! Main nashe main hon
may sirf ik tabasum rangen bohat mujhe
SAGHAR badosh lala rukho ! Main nashe main hon