Khuda wo waqt na laye ke soghwar ho tu
sukun ki neend tujhe bhi haram ho jaye
teri masarrat-e-paiham tamam ho jaye
teri hayat tujhe talkh jaam ho jaye
Ghamon se aina-e-dil gudaz ho tera
Hujoom-e-yas se betab ho ke rah jaye
wafoor-e-dard se seemab ho ke rah jaye
tera shabab faqat khwab ho ke rah jaye
Ghuroor-e-husn sarapa niyaz ho tera
taweel raton main tu bhi qarar ko tarse
teri nigah kisi ghamgusar ko tarae
khizan rasida tamanna bahar ko tarse
Koi jabin na tere sang-e-aastan pe jhuke
ke jins-e-ijz-o-aqidat se tujh ko shaad kare
fareb-e-wada-e-farda pe aetamad kare
Khuda wo waqt na laye ke tujh ko yaad aye
Wo dil ke tere liye be-qarar ab bhi hai
wo ankh jis ko tera intazar ab bhi hai