Jahan SAGHAR sharab e zindagi ik zehr e qatil hai

sar-e-maqtil hamen naghmat ki taleem dete hain
yahan ahl-e-nazar zulmat ki taleem dete hain

yahan kalian mahakti hain magar khushbo nahe hoti
shagofe barla aafaat ki taleem dete hain

yahan kuch log ese bhe hain zar tabi qubahon main
seher ka nam de k raat ki taleem dete hain

jinhen fezan-e-gulshan hai na irfan-e-baharan hain
wo pholon ko ney jazbat ki taleem dete hain

rah-e-taqdir os din k liye dhoop aur saye
tere gesoo jinhen halaat ki taleem dete hain

hamen zeban nahe deta rah-e-dushwar ka manzir
k sehraon main bhe barsat ki ki taleem dete hain

jahan SAGHAR shirab-e-zindagi ik zeher hai
yaqeen wale wahan khadshat ki taleem dete hain

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form