Loog le lete hain yunhe shama-wo-parwane ka nam
kuch nahe hai is main jahan gum k afsane ka nam
mit gai barbadi-e-dil ki shikayat dosto
ab gulistan rakh lia hai main ne werane ka nam
shokhi-e-kad-e-nigari meri sabha ka wajood
masti-e-chashm-e-ghazalan mere paymane ka nam
is ko kehte hain gum-e-taqdir ki neelam gah
hai zuban tashnagi main aur mekhane ka nam
dekhiye! SAGHAR ki ashfata nigahi ka kamal
mastian jhalka raha hai aik dewane ka nam

Tags
SAGHAR Poetry